Wednesday 28 December, 2005

Yeh hai meri kahani

Yeh hai meri kahani
Khamosh zindagani
Sannata keh raha hain
Kyon zulm seh raha hain

Ek dastaan purani,
Tanhaye ki zubani
Har zakhm khil raha hain
Kuch mujhse keh raha hain

(Take Off!)
[
Chubte kante yaadon ke
Daaman se chunta hoon
Girtee deewaron ke
Aanchal mein zinda hoon
]

Bas yeh meri kahani
Benishan nishaani
Ek dard beh raha hain
Kuch mujhse keh raha

(Take Off!)
[
Chubte kante yaadon ke
Daaman se chunta hoon
Girtee deewaron ke
Aanchal mein zinda hoon
]

(Male voice reciting poetry)

Ab na koi paas hain
Phir bhi aehsas hain
Syahiyon mein uljhi padi
Jeene ki ek aas hain
Yaadon ka jungle yeh dil
Kaanton se jalkar yeh dil

Chubte kante yaadon ke
Daaman se chunta hoon
Girtee deewaron ke
Aanchal mein zinda hoon…

0 comments:

Post a Comment

"The person who writes for the intelligent and smart like you is always sure of a meagre audience" - Anuj Gosalia